தமிழ்

Main Jahaan Rahoon Mehfil Mix lyrics - Namasthe London | #Lyrics


Movie : Namasthe London
Singer : Rahat Fateh Ali Khan
Year : #2007
Lyricist : Javed Akhtar
Music Director : Himesh Reshammiya
Mood/Type : #Sad

Mein jahan raho
Mein kahin bhi hoo
Teri yaad saaath hai

Jaane kiski talaash unaki aankhon mein thi
Aarajoo ke musaafir bhatkate rahein
Jitane bhi woh chale
Utane hi bichh gayein raah mein faasalein
Khwaab manjil thi aur manjilein khwaab thi
Raaston se nikalate rahein raaste
Jaane kis waste aarjoo ke musaafir bhatkate rahein

Mein jahan raho
Mein kahin bhi hoo
Teri yaad saaath hai
Kisi se kahun
Ke Nahi kahun
Yeh jo dil
Ki Baat hai

Kehne Ko saath
Appne Ek duniya chalti hai
Per chupke is dil mein tanhai Palti hai
Bas yaad Saath hai
Teri yaad saaath hai


Mein jahan raho
Mein kahin bhi hoo
Teri yaad saaath hai

Koyi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai
Itani jalati dhoop mein yuun kab tak ghumoge
Aayo, chalke bitein dino ki chhanv mein baithe
Us lamhein ki baat karein
Jisme koyi phool khila tha
Us lamhein ki baat karein ke
Jisme kisi aawaaz ki chaandi khanak uthi thi
Us lamhein ki baat karein ke
Jisme kisi nazaron ke moti barse the
Koyi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai
Itani jalati dhoop mein yuun kab tak ghumoge

Kahin to Dil mein yaadon ki
Ek suli gad jaati hai
Kahin har ek Tasveer bhahut hi dhondhali pad jati hai
Koi nai duniya ke naye rango mein khush rehta hai
Koi sab kuch paake bhi yeh maan hi maan kehta hai


Kehne Ko saath
Appne Ek duniya chalti hai
Per chupke is dil mein tanhai Palti hai
Bas yaad Saath hai
Teri yaad saaath hai

Sach toh yeh hai kasoor apana hain
Chaand ko chuune ki tamanna ki
Aasamaan ko jamin par maanga
Phool chaaha ki paththaron pe khilein
Kaanton mein ki talaash khoshboo ki
Aarjoo ki ke aag thandak de
Barf mein dhundate rahein garmi
Khwaab jo dekha chaaha sach ho jaaye
Isaki humko saja toh milani hi thi
Sach toh yeh hai kasoor apana hain

Kahin to bete kal ki jade
Dil mein hi utar jaati hai
kahin jo dhage tute to
Malayen bhikar jaati
Koi dil mein jagah nai baaton ke liye rakhta hai
Koi apni palko per
Yadon ke diye rakhta hai

Kehne Ko saath
Appne Ek duniya chalti hai
Per chupke is dil mein tanhai Palti hai
Bas yaad Saath hai
Teri yaad saaath hai
#Namasthe-London #2007-Hindi-Songs-Lyrics #Popular-Songs-Lyrics #Evergreen-Songs-Lyrics

https://youtu.be/kJ7_7g5VGUs


Namastey London | Mehfil Mix | Audio Jukebox
Play Free Music back to back only on Eros Now - https://goo.gl/BEX4zDHere are the hit Namastey London tracks with a twist. 1. Viraaniya (Mehfil Mix) 00:00Sin...https://youtu.be/kJ7_7g5VGUs

Comment :
Related Items

தமிழ்

Daare Leda Song Lyrics - Satyadev, Roopa Koduvayur | Roshan Sebastian | KK | #Telugu Song : Daare Leda Casts : #Satyadev, Roopa Koduvayur Music : Vijai Bulganin Singer : Roshan Sebastian Ly
Like Reply Share

தமிழ்

Patthar Wargi Lyrics - Ranvir | Jaani Song: Patthar Wargi Singer: #Ranvir Lyricist: #Jaani Music: B Praak Music Label: T-Series Year : #2021 Patthar Wargi Song Lyrics I Can Breath
Like Reply Share

தமிழ்

Number Likh Lyrics – Tony Kakkar | Nikki Tamboli Song: Number Likh Singer & Lyrics & Music : Tony Kakkar Starring: Tony Kakkar, Nikki Tamboli Label: Desi Music Factory Call Call C
Like Reply Share

தமிழ்

Zara Zara LYRICS - Stebin Ben, Amyra Dastur | Piyush Shankar | Abhendra K Upadhyay Song: Zara Zara Singer: Stebin Ben Music Composer: Piyush Shankar Lyricist: Abhendra Kumar Upadhyay
Like Reply Share
Hash Tags
¤ Privacy Contact US
© FunRocks.iN 2020™